Aye Mere Watan Ke Logo Lyrics – Get Independence Day Aye Mere Wattan Ke Logo song Lyrics in Hindi. This song can teach your kids about the sacrifice that took to attain Indian freedom. The song was first performed live two months after the war by Lata Mangeshkar on Republic Day (26 January) 1963 at the National Stadium in New Delhi.


Aye Mere Watan Ke Logo Song Detail:


Music Director : C Ramchandra

Lyricist : Pradeep Kumar

Singer(s) : Lata Mangeshkar

 Music Label : Saregama Music

Released Date : 26 January 1963

Genre : Patriotic Song




Aye Mere Watan Ke Logo Lyrics 

Aa.. Aa.. Aa..Aa..

Aye Mere Watan Ke Logon

Tum Khub Laga Lo Naara

Yeh Shubh Din Hai Hum Sab Kaa

Lehra Lo Tiranga Pyaara


Par Mat Bhulo Seema Par

Viron Ne Hai Pran Gawayen

Kuchh Yaad Unhe Bhi Kar Lo

Kuchh Yaad Unhe Bhi Kar Lo

Jo Laut Ke Ghar Naa Aaye

Jo Laut Ke Ghar Naa Aaye



Aye Mere Vatan Ke Logon

Jara Aankh Me Bhar Lo Pani

Jo Shahid Huye Hain Unki

Jara Yaad Karo Kurbani


Aye Mere Watan Ke Logon

Jara Aankh Me Bhar Lo Paani

Jo Shahid Huye Hain Unki

Jara Yaad Karo Kurbani



Tum Bhool Na Jao Unko

Isliye Suno Ye Kahaani

Jo Shahid Huye Hain Unki

Jara Yaad Karo Kurbani


Jab Ghaayal Huva Himalay

Khatre Me Padi Aazadi

Jab Tak Thi Saans Lade Woh

Phir Apni Laash Bichha Di


Sangeen Pe Dhar Kar Maatha

So Gaye Amar Balidani

Jo Shahid Huye Hain Unki

Jara Yaad Karo Kurbani



Jab Desh Me Thi Diwali

Woh Khel Rahe The Holi

Jab Hum Baithen The Gharon Me

Jab Hum Baithen The Gharon Me

Woh Jhel Rahe The Goli


The Dhanya Jawaan Woh Apne

Thi Dhanya Woh Unki Jawaani

Jo Shahid Huye Hain Unki

Jara Yaad Karo Kurbani


Koi Sikh Koi Jaat Marathha….(2)

Koi Gurkha Koi Madrasi…..(2)


Sarhad Pe Marne Wala..

Sarhad Pe Marne Wala

Har Veer Tha Bhaaratbasi



Jo Khoon Gira Parvat Par

Wo Khoon Tha Hindustani

Jo Shahid Huye Hain Unki

Jara Yaad Karo Kurbani


Thi Khoon Se Lat-Pat Kaaya

Phir Bhi Banduk Uthake

Dus Dus Ko Ek Ne Maara

Phir Gir Gaye Hosh Gawan Ke


Jab Antsamay Aaya To..

Jab Antsamay Aaya To

Keh Gaye Ke Ab Marte Hain

Khus Rehna Desh Ke Pyaaron..

Khus Rehna Desh Ke Pyaaron

Ab Hum To Safar Karte Hein

Ab Hum To Safar Karte Hein


Kya Log The Wo Deewane

Kya Log The Wo Abhimani

Jo Shahid Huye Hain Unki

Jara Yaad Karo Kurbani



Tum Bhool Na Jao Unko

Isliye Kahi Ye Kahaani

Jo Shahid Huye Hain Unki

Jara Yaad Karo Kurbani


Jai Hind Jai Hind Jai Hind Ki Sena….(2)

Jai Hind Jai Hind Jai Hind….(2)



Aye Mere Watan Ke Logo Music Video 


Post a Comment

Previous Post Next Post